Taj mahal appartment se uthti roshniyon aur waha ho rahe shor se jhopad patti ke kutton me badi halchal hui ki aakhir baat kya hai . jaasoos bheje gaye ,pata chala ki kisi film ko koi inaam-vinaam mila hai is liye log shor kar rahe hai . kutton ke sardaar ne aana fanaan me baithak bulaayi sabhi kutee waha pahuche . sardaar ne sabko sambodhit kiya ki "sathiyo hamare naam ka istemaal kar ke aaj film bani hai aur hume poocha tak nahi gaya" . sabhi kutton ne ha me ha milaye . sar dar ne kaha ki
"is baar hum chup nahi baithenge hum parliament jaayenge apne haq ki ladaaaye ladenge hum andolan karenge kyoki humare marne ko bhi mazaak samjha jaaata hai ki kutte ki maut mar gaya.akhir hum me aur insaan me kya fark hai bas yahi ki wo taza khata hai aur hum basi . akhir hum ko bhi to jeene ka haq hai ."
sabhi kutte aaj sardar ki bato ko cinemaai parda samajh kar us par apna sunhara bhavishya dekh rahe the aur bhool gaye the ki unki zingi foootpaath par hi hai tabhi slum dog.......... ki kaam yaaabi ke nashe me choor ek kar foot paathe par chhad jaati hai aur kai kutte wahi kutton ki maut mar jaate hai ......... aur sardar ke muh se antim shabd yahi nikalta hai ki "is baar hum apna haq le kar rahenge"