Sunday, October 17, 2010
kya yahi sanskriti hai
kabhi kabhi to lagta hai ki sanskriti sanskriti ka darp rakhne wali hamari kaum ki koi sanskriti hai hi nahi . bas hum ji rahe hai aur saalo se bas aise hi ji rahe hai aur ak dharra ban gaya hai aur jisko hum ne sanskriti ka naam de diya . jo mila kha liya poori ko chowmin se khate hai biscuit ko daal me duba lete hai aur chillate firte hai ki humari sanskriti me sabko atmsaat karne ki quality hai . sab bas dhakosala hai asliyat to ye hai ki hum ko aaj bhi barberian samaj ki adat hai hum aaj bhi non civilised society me ji rahe hai aur . ghut ghut ke marne ki adat pad chuki hai . jo western culture ne chhoda humne lapak liya. aur apne culture me paiband ki tarah laga liya. aj agar humne apni shaadi ka samaroh me engagement ceremony jod li lekin kya western culture ne humare sindur daan ko apnaya. hum hi fevikol le ke paida hue hai aur marte marte pata nahi kya ban jayenge sachhai to ye hai ki ab humar culture bacha hi nahi hai aur hum ne lagbhag culture kha liya hai .
Tuesday, October 05, 2010
Samvad nahi samvedana ko samjho
kahi kabhi jo baate shabd nahi kaha paate wo do ankhe ki bata deti hai aur jab jaban aur ankhe chup ho jaaye to ishare ishara kar dete hai ki chahat kya hai kuch aisa hi wakya aaj RJB (Ram Janm Bhoomi akhir adhunikta ka jamana hai sab sikud raha hai ). Desh ke ishare ne bata diya hai ki Dharm ke nam par kursi par baithane walo ko ab dusri seedhi khojni ho kyonki ye seedhi ab bekar ho chali hai. seedhe ke dona dande ab do kaumo ka sahara ban chuke hai au samay bhi badal gaya hai. so bhagwa dhariyo ab chola badal lo kyoki desh desh na raha log log na rahe bas hai to hum tum aur corporates
0
0
Subscribe to:
Posts (Atom)