Sunday, October 17, 2010
kya yahi sanskriti hai
kabhi kabhi to lagta hai ki sanskriti sanskriti ka darp rakhne wali hamari kaum ki koi sanskriti hai hi nahi . bas hum ji rahe hai aur saalo se bas aise hi ji rahe hai aur ak dharra ban gaya hai aur jisko hum ne sanskriti ka naam de diya . jo mila kha liya poori ko chowmin se khate hai biscuit ko daal me duba lete hai aur chillate firte hai ki humari sanskriti me sabko atmsaat karne ki quality hai . sab bas dhakosala hai asliyat to ye hai ki hum ko aaj bhi barberian samaj ki adat hai hum aaj bhi non civilised society me ji rahe hai aur . ghut ghut ke marne ki adat pad chuki hai . jo western culture ne chhoda humne lapak liya. aur apne culture me paiband ki tarah laga liya. aj agar humne apni shaadi ka samaroh me engagement ceremony jod li lekin kya western culture ne humare sindur daan ko apnaya. hum hi fevikol le ke paida hue hai aur marte marte pata nahi kya ban jayenge sachhai to ye hai ki ab humar culture bacha hi nahi hai aur hum ne lagbhag culture kha liya hai .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment